Monday, December 3, 2007

Nahi Aata.........


log rooth jaate hain mujhse

aur mujhe manana nahi aata

mai chahti hoon kya

mujhe jatana nahi aata

aansuon ko pina puraani aadat hai

mujhe aansoo bahana nahi aata

log kahte hain mera dil hai patthar ka

isliye isko pighalna nahi aata

ab kya kahoon mai

kya aata hai, kya nahi aata

bas mujhe mausam ki tarah

badalna nahi aata.............



MERE JAANE KE BAAD...............




kal mai rahu na rahu,

meri yaadein rahengi

kal mai rahu na rahu ,

meri baatein rahengi

kuch khatti kuch mithi yaadein

or aise hi,

kuch khatti kuch mithi baatein

sach hi to hai,

kuch nahi rah jaata hai sath

jab toot jati hain sansein

rah jaati hain to bus, jaane wale ki

kuch yaadein,or kuch baatein........



Mai Kaun Hoon?


Kai baar tanhaiyoon me khud ko dhundha hai,

Per kuch na paya hai.

Kai baar khud ko tatola hai,

Per hanth kuch na aaya hai.

Kabhi sochti hoon ,

Ye mai hoonYa koi saya hai?

Apne se hi rootha hua,

Bhitar tak toota hua,

Ye kaun aaya hai?

Samajhna chaha to bahut,

Per kuch na samjh me aaya hai.

Kai baar haan! Kai baar ,

Tanhaiyoon me khud ko dhundha hai,

Per kuch na paya hai......



BINA KASOOR KE HI SAZA.......




wo sawarti thi jis aaine ko dekh

aaj us aaine se hi darti hai

jiska arma tha aasma choone ka

ab ghar ke kone me sisakti hai

uske roshan chehre se tha chand bhi sarmata

ab wahi chand hai uski hansi udata

ab to zindagi ka pal pal usko hai satata


kyuki,ab na wo chehra hai na uski raunak

prem prastaav thukrane ki mili usko saza bhayanak

ek tarfa prem ke ek junooni ne yu usse inkaar ka badla liya

tezaab phenk ke uske chehre ko hi jala diya

badle ki is aag ne hi us masoom ka jivan tabah kiya


na tha koi kasoor uska na thi koi khata

phir bhi kyu usko mili itni badi saza?

mit chuki hai ab uski har aas

kho chuki hai wo aatmvishwaas

ab na wo hasti hai na sajti hai

bas ghanto shunya me hi takti hai


shayad!samay ke saath-

uske sharir ke ghaav bhar bhi jaaye

par naasoor ban chuke man ke ghaav

kya wo kabhi bhar payenge?

kya wo kabhi bhar payenge?

kya mai ya aap iska jawaab de payenge?





Dil Aah Bhi Na Bhar Pata Hai......



jo bhi milta hai,ek zakhm naya de jaata hai

or ye dil aah bhi na bhar pata hai

toot ke bikharte dekhne ka lutf sabhi lete hain

bikhre huye ko sametane kaun aata hai?

gumo ki kattar hoti hai khushiyon se lambi

kyu gumo ki duniya kabhi viraan nahi hoti?

khushiyon me to shamil ho jaate hain sabhi

per yahan gumo ko baatne kaun aata hai?

or ye dil aah bhi na bhar pata hai

dard-e-dil ka shumaar na karna kabhi

yuhi kisi pe aitabaar na karna kabhi

dushmano ko to nahak sabhi ilzaam dete hain

ki yahan dost hi dost ko dokha de jaata hai

or ye dil aah bhi na bhar pata hai................



Wo Shakhs............



wo shakhs!apni muskurahat ke pichhe

hazaron dard chupaye baitha hai

apne hi dil ke tukadon ko

karine se sajaye baitha hai

chot to khai hai gahri usne

par wo kahta nahi

har aah ko bhi wo

sine me dabaye baitha hai

hua wo barbaad jiski chahat me

luta hai aaj jiski mohhabat me

na naam zahir ho uska zamane me

isliye apne honthon ko siye baitha hai

wo shakhs!apni muskurahat ke pichhe

hazaron dard chupaye baitha hai

apne hi dil ke tukadon ko

karine se sajaye baitha hai.




Maut..........


maut zindagi ki antim or kadwi sachhai hai
jahan zindagi soti hai wahin pe maut leti angdai hai
zindagi or maut ka hai choli-daman ka saath
jisne zindagi pai uski maut se bhi pakki hai mulakaat
ye maut hi to apno ko apno se
hamesha ke liye door kar deti hai
or apne aage hum sabko
bebus or majboor kar deti hai
kya jaane ye maut kab kyu kaise kahan
chupke se aa jaaye
zindagi se haanth chuda kar
apne sang le jaaye
maut to dabe paav aa kar
chali hi jaati hai
or apne pichhe kitno ko
bilakhta chod jaati hai
per ye maut to zindagi ki haqikat hai
isko to ek din aana hai
or ant me hum sabko hi
is duniya se jaana hai................




Sochon Me Ulajhi Mai.....




yuhi kabhi khamosh baithe sochti hu mai

ki mere charo or kya kya ghat raha

or unme se kin kin baton ka

mujhpe asar ho raha

kuch baate to badi door se chali jaati hain

jinki aahat bhi nahi lag paati hai

per kuch baate aisi hoti hain

jo dil me ghar kar jaati hain

zahan-o-dil me sama ke

apna asar dikhati hain

kabhi khushiyo ki saugaat to-

kabhi dukhon ka sailaab ban ke

mujhe jhankjhor ke jaati hain

or jab ye soch shant ho jaati hain to-

phir wahi khamoshi mere charo or simat aati hai

or wahi silsila naye sire se shuru ho jaata hai

phir se mera dil kinhi sochon me pad jaata hai

or is tarah ye dil sochon ke ghere se-

kabhi bahar aa hi nahi pata hai...............................

Nazrein..........


nazrein hain dil ka aaina

sab bol deti hain

dil me chupe har raz ko

ye khol deti hain

kabhi gum me,kabhi khushi me

chalak jati hain ye

or kabhi pyaar ka nasha

ye ghol deti hain

kabhi gussa to kabhi chahat

jata deti hain ye

or aksar hi khwabo me

ye dol leti hain

nazrein hain dil ka aaina

sab bol deti hain

dil me chupe har raz ko

ye khol deti hain.............

AVYAKT-ABHIVYAKTI........


Kuch samvednayain aisi hain

Jinhe man vyakt nahi kar pata

Vyakul man chup hi rah jaata

Har chan ghut ta rahta

Kisi se kuch nahi kah pata

Man ko lagi jo baat

Uska hi chintan karta rahta

Aisi hi kuch aadhi- adhuri baate hain

Hum sabke hi man me

Kya koi santust ho sakata hai

Apne purn jivan me?